Saturday, August 7, 2010

Chhotu

This one is a song that I wrote on child labour.


Sadak pe woh so raha,
sabse pehle uth gaya,
Chai ko chulhe pe rakhkar,
Signal pe akhbar bech raha..

To usne kaha chhotu..ek cutting le aa…
To usne kaha chhotu..ek cutting toh pila…

Uska beta school gaya..
Chhotu wahin reh gaya..
Bacchpan se kaam kar ke,
Woh tees pe boodha ho gaya..

To usne kaha chhotu…ek cutting le aa..
To usne kaha chhotu..ek cutting pila..

Chhotu ki shaadi ho gayi,
Usko beta ho gaya,
Chai banane ka kaam ko,
Ek naya chhotu mil gaya…

To usne kaha chhotu…ek cutting le aa..
To uske bĂȘte ne kaha chhotu..ek cutting le aa..


Yeh kahani hai us gareeb ki,
Jo aapke ghar ka naukar hai,
Taleem na mili usko,
Kya paisa hi sab kucch hai?

To aap na kehna chhotu..ek cutting le aa..
Par yeh kehna chhotu…tu school kyon nahi gaya!!??



No comments: